Jab kalam liya haath mein Ghazal bann gaye tum

Jab kalam liya haath mein Ghazal bann gaye tum
Jab bhi nazar uthaayi Nazaara ban gaye tum!


Jab bhi kuch kehna chaha Ishaara bann gaye tum
Doob raha tha jab jazbaat ke samandar mein Saahil bann gaye tum


Kehne ko tha bahut kuch Parr kuch naa keh saka main,
Bina kuch kahe Bahut kuchkeh gaye tum!


Haathon mein tha haath jab, Doori thi dilon mein,
Aaj doori hai hum mein magar,Dil ke bahut kareeb aa gaye ho tum!


Jab bhi saans li maine Hawa bann gaye tum,
Jab bhi dua mein haath uthaaye Dua bann gaye tum,


Jab bhi chalak gayi aankhen, Aansoon ban gaye tum,
Nahin jaan saka main,Jaane kab meri dhadkan bann gaye tum!