Showing posts with label Mohabbat. Show all posts
Showing posts with label Mohabbat. Show all posts

ai mohabbat tere anjaam pe ronaa aayaa

ai mohabbat tere anjaam pe ronaa aayaa
jaane kyon aaj tere naam pe ronaa aayaa

yuun to har shaam ummiidon mein guzar jaatii thii
aaj kuchh baat hai jo shaam pe ronaa aayaa

kabhii taqdiir kaa maatam kabhii duniyaaa kaa gilaa
manzil-e-ishq me.n har gaam pe ronaa aayaa

jab huaa zikr zamaane mein mohabbat kaa 'Robin'
mujh ko apane dil-e-naakaam pe ronaa aayaa
Read more... »

Meri Khamosh Mohabbat Ka itna toh sila diya hota

"Meri Khamosh Mohabbat Ka Itna To Sila Diya Hota,
Kabhi Ek Nazar Chahat Se Dekh Hee Liya Hota


Hum Bhi Tujhe Ishq-e-Mohabbat Se Aashna Karte,
Bas Ek Baar Apne Dil Mein Aane To Diya Hota


Kiya Jata Tumhara Bas Hamein He Dil Se Khushi Milti,
Apni Zindagi Ki Kitaab Mein Naam Hamara Bhi Likh Liya Hota.


Dekh Lete Zara Ghor Se Shayad,Tumhare Haath Ki Lakiron Mein
Hamari Kismat Ka Bhi Diya Hota.


Meri Khamosh Mohabbat KaItna To Sila Diya Hota
Read more... »

jab say basaya hai mai nay is dil mai tumhay

jab say basaya hai mai nay is dil mai tumhay,,,,,

tab say sahti hun mai sab ki kanto bhari nigahai,,,,


jab say kiya hai mai nay shamil tujhai meri zindagi may,,,


tab say sasish may shamil saara yeh jahan hai...



yeh saasish nahi kar sak tay hummay juda,,,


kun kay jism aur ruh nahi ho sak tay aalag,,,,


mar kay bhi karungi mai tujh say wafaa...



teray paigaam kay intayzaar may,


nikal tay nahi hai meray aankh say aansu,,,,


is baybasee mai rooti hu mai khuun kay aansu,,,



kasam hai tujhko,meri zindagi kay liye....


yakeen hai mujko,hoja ungi mai maut kay hava lay,,,,,


chodo gay jo mujhay beech rah mai,todo gay jo tum mera dil........
Read more... »

Jab kalam liya haath mein Ghazal bann gaye tum

Jab kalam liya haath mein Ghazal bann gaye tum
Jab bhi nazar uthaayi Nazaara ban gaye tum!


Jab bhi kuch kehna chaha Ishaara bann gaye tum
Doob raha tha jab jazbaat ke samandar mein Saahil bann gaye tum


Kehne ko tha bahut kuch Parr kuch naa keh saka main,
Bina kuch kahe Bahut kuchkeh gaye tum!


Haathon mein tha haath jab, Doori thi dilon mein,
Aaj doori hai hum mein magar,Dil ke bahut kareeb aa gaye ho tum!


Jab bhi saans li maine Hawa bann gaye tum,
Jab bhi dua mein haath uthaaye Dua bann gaye tum,


Jab bhi chalak gayi aankhen, Aansoon ban gaye tum,
Nahin jaan saka main,Jaane kab meri dhadkan bann gaye tum!


Read more... »