Na woh farishta ho na farishtey jaisa ho

Na woh farishta ho na farishtey jaisa ho,Mujhey talash hai uski jo mere jaisa ho....

Merey khulus ko pehchanta ho bus kafi hai,
Woh koi bhi ho kahin bhi ho kesa bhi ho....

Jo khwab dene ko qadir ho meri aankhon ko,
Meri mohabbat ko pehchan sake woh aisa ho...

Meri khatir marney ka hosla bhi rakhta ho,Agar kabhi rooth jaoon mein us sey to Muskra key manayee, woh aisa ho...


Jo baat karey to woh nibha bhi sakey,Iradon mein woh apney chatanon jaisa ho...


Dukhon mein hasne ka hunar janta ho,Ik aisa hamsafar jo samandar ki tarah gahrah ho...


Us ke pyaar ki thandak ho merey liye aisi,Ke woh to bilkul aasman ke chand jaisa ho...


Woh sirf mera ho, jo nigahon mein haya rakhta ho,Umar bhar saath chalney ka iradah rakhta ho...