Sochta hoon keh usay neend bhi aati hogi

Sochta hoon keh usay neend bhi aati hogi,Ya meri terha faqat ashq bahati hogi

Wo meri shakal mera naam bhulanay wali,Apni tasweer se kya aankh milati hogi

Is zameen per bhi hai sailaab mere ashkoon se,Mere matam ki sada arsh hilati hogi

Sham hotay hee wo chokhat pe jala ker shamein,Apni palkon pe kayi khaab sulati hogi

Us ne silwa bhi liye hongay siyah libaas,Ab mohram ki terha eid manati hogi

Hoti hogi mere bosay ki talab mey pagal,Jab bhi zulfon mey koi phool sajati hogi

Mere tareek zamanon se nikalnay wali,Roshni tujh ko meri yaad dilate hogi

Dil ki masoom ragein khud hee sulagti honngi,Jonhi tasweer ka kona wo jalati hogi

Roop de ker mujhe us mey kisi shahzaday ka,Apnay buchon ko kahani wo sunati hogi