Yeh zaroori to nahi

Yeh kya haal banaliya hai tumne apna
Ab os ka haal bhi tumhare jaisa ho
Yeh zaroori to nahi


Haari hai tumne bazi mohabbat ki
Zindagi ki bazi bhi haar jao
Yeh zaroori to nahi


Is pal mohabbat par bohot naaz hai tum ko
Ab har pal yehi dohrao
Yeh zaroori to nahi


Zinda reh kar bhi rasm-e-mohabbat ada hosakti hai
Ab mar kar hi yeh rasam nibhaou
Yeh zaroori to nahi


"kabhi kisi se mohabbat na karna"
aisi naseehat matt diya kar mujhe
jo tere saath howa, who mere saath bhi ho
yeh zaroori to nahi


Zindagi ke safar mai,
har mosaafir khowaab deakhta hai
Ab tabassom tera bhi khowaab poora ho
Yeh zaroori to nahi