Tamam umar zindagi se door rahe

Tamam umar zindagi se door rahe,

Teri khushi ke liye tujsay door rahe....

Ab is se jyada wafa ki saza kya hogi

Ki teray hokar bhi tujse door rahe.

Read more... »

Ankhen apki ho par ansu mere

Ankhen apki ho, par ansu mere...

Zindagi apki ho, par sanse meri...

Dil apka ho, par dharkan meri...

Zindagi ke akhri mor par dua hogi yahi...

Kafan apka ho, aur maut meri....


Love quotes,love shayri,love message,love sms,kuban pyar pe
Read more... »

Log ishq karte hain,Bare shor ke saath.

Log ishq karte hain,Bare shor ke saath.

Hum nay bhi kiya,Bare zor ke saath.

Magar ab karenge,Thora gaur ke saath.

Kyonki kal usko dekha,Kisi aur ke saath.

Read more... »

Zindagi ko na bana le wo saza mere baad

Zindagi ko na bana le wo saza mere baad...

Hosla dena unhe mere khuda mere baad...

Haath uthte hue un k na koi dekhega, kis k aane ki karenge wo dua mere baad...

Kon Ghongat ko uthayega sitamgar keh kr, or phir kis se karenge wo haya mere baad...

Phir zamane me muhabbat ki na parayschit hogi, Royegi siskiyan le le k bewafa mere baad...

Wo jo kehte the k 'mere' liye jeete hain, Us ka kya janiye kya haal hoga mere baad...



Bewafai message,Bewafa sms,Bewafai poem,Bewafa shayri
Read more... »

Teri dosti ko hum palko pe sajayenge

तेरी दोस्ती को पलकों पर सजायेंगे हम 
जब तक जिन्दगी है तब तक हर रस्म निभाएंगे 
आपको मनाने के लिए हम भगवान् के पास जायेंगे
 जब तक दुआ पूरी न होगी तब तक वापस नहीं आयेंगे 


Tag: Friendship Message,Dosti Message,Dosti sms,Hindi sms
Read more... »

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.

Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi...




Tag:Valuable Message,Thoughts Poem,Think about,Poem
Read more... »

Heart touching Friendship Quotes in Hindi


कोई दोस्त ऐसा बनाया जाये, जिसके आसुओं को पलकों में छुपाया जाए, 

रहे उसका मेरा रिश्ता कुछ ऐसा, की अगर वो रहे उदास तो हमसे भी न मुस्कुराया जाये

 आपने अपनी आँखों में नूर छुपा रखा है, होश वालो को दीवाना बना रखा है, नाज़ कैसे न करू आपकी दोस्ती पर, मुज जैसे नाचीज को खास बना रखा है... 

फूल सुख जाते है एक वक्त के बाद, लोग बदल जाते है एक वक़्त के बाद, अपनी दोस्ती भी टूटेगी एक वक़्त के बाद, लेकिन वोह वक़्त आयेगा मेरी मौत के बाद... 

हम दोस्ती में हद ए गुज़र जायेंगे , यह जिंदगी आपके नाम कर जायेंगे, आप रोया करेंगे हमे याद करके, आपके दामन में इतना प्यार छोड़ जायेंगे..

 तुझे देखे बिना तेरी तस्वीर बना सकता हूँ, तुझसे मिले बिना तेरा हाल बता सकता हूँ, है मेरी दोस्ती में इतना दम, अपनी आँख का आँसू तेरी आँख से गिरा सकता हूँ 

दोस्ती इन्सान की ज़रूरत है, दिलो पे दोस्ती की हुकूमत है , जिंदा है आपकी दोस्ती की वजह से, वरना खुदा को भी हमारी ज़रूरत है

Read more... »

Na woh farishta ho na farishtey jaisa ho

Na woh farishta ho na farishtey jaisa ho,Mujhey talash hai uski jo mere jaisa ho....

Merey khulus ko pehchanta ho bus kafi hai,
Woh koi bhi ho kahin bhi ho kesa bhi ho....

Jo khwab dene ko qadir ho meri aankhon ko,
Meri mohabbat ko pehchan sake woh aisa ho...

Meri khatir marney ka hosla bhi rakhta ho,Agar kabhi rooth jaoon mein us sey to Muskra key manayee, woh aisa ho...


Jo baat karey to woh nibha bhi sakey,Iradon mein woh apney chatanon jaisa ho...


Dukhon mein hasne ka hunar janta ho,Ik aisa hamsafar jo samandar ki tarah gahrah ho...


Us ke pyaar ki thandak ho merey liye aisi,Ke woh to bilkul aasman ke chand jaisa ho...


Woh sirf mera ho, jo nigahon mein haya rakhta ho,Umar bhar saath chalney ka iradah rakhta ho...
Read more... »

Aansu KO ankhon ki Dehliz pe laya Na karo

Aansu KO ankhon ki Dehliz pe laya Na karo
Apnay dil ki halat Kisi ko bataya Na karo
Log mutthi bhar namak liye Ghoom rahe hain
Apne zakhm kisi ko Dikhaya na karo.


Aansu message,Dil ke zakham,Hurt sms,dard bhare message
Read more... »

Na kabhi muskuraahat tere hoton se durr ho..

Na kabhi muskuraahat tere hoton se durr ho..

Teri har khwaish haqiqat ko manzoor ho...

Ho jaaye jo tu mujhse khafa...


Khuda na kare mujhse aisa kasoor ho..

Read more... »

Berukhi humne ki woh humse ab bhi kehti hai

Berukhi humne ki woh humse ab bhi kehti hai

Kissi ko agar intehaa mohhobbat karna berukhi hai

To hum aaisi berukhi phir se karengee....

Tum yeh na samajh na ki hum bhi doosaaron ke jaise

Jaam ka sahara lenge tumhe bhoolne ke liye

Tum jaisi bikaau cheeze bazaar main bahut hai

tum gayi to kya, kissi aur ko khareed lenge....

Read more... »

bhula sakta to kab ka bhula diya hota

bhula sakta to kab ka bhula diya hota

dil se mita sakta to kab ka mita diya hota


tumhe kya pata kitna dard hai is seene main


bata sakta to kab ka bata diya hota

Read more... »

ai mohabbat tere anjaam pe ronaa aayaa

ai mohabbat tere anjaam pe ronaa aayaa
jaane kyon aaj tere naam pe ronaa aayaa

yuun to har shaam ummiidon mein guzar jaatii thii
aaj kuchh baat hai jo shaam pe ronaa aayaa

kabhii taqdiir kaa maatam kabhii duniyaaa kaa gilaa
manzil-e-ishq me.n har gaam pe ronaa aayaa

jab huaa zikr zamaane mein mohabbat kaa 'Robin'
mujh ko apane dil-e-naakaam pe ronaa aayaa
Read more... »

Meri Khamosh Mohabbat Ka itna toh sila diya hota

"Meri Khamosh Mohabbat Ka Itna To Sila Diya Hota,
Kabhi Ek Nazar Chahat Se Dekh Hee Liya Hota


Hum Bhi Tujhe Ishq-e-Mohabbat Se Aashna Karte,
Bas Ek Baar Apne Dil Mein Aane To Diya Hota


Kiya Jata Tumhara Bas Hamein He Dil Se Khushi Milti,
Apni Zindagi Ki Kitaab Mein Naam Hamara Bhi Likh Liya Hota.


Dekh Lete Zara Ghor Se Shayad,Tumhare Haath Ki Lakiron Mein
Hamari Kismat Ka Bhi Diya Hota.


Meri Khamosh Mohabbat KaItna To Sila Diya Hota
Read more... »

Bhoolne Waale Se Koi Keh De Zara

Bhoolne Waale Se Koi Keh De Zara,Is Tarah Yaad Aane Se Kya Hai Faayda

Jab Mere DIL Ki Duniya Basati Nahin,Phir Khayaalon Mein Aane Se Kya Faayda


Kya Kahoon Aapse Kitni Ummeeden Thi,Aap Kya Badle Duniya Badal Hee Si Gayi


Aasra De Ke Dil Tordte Hain Mera,Phir Akhir Is Tarah Sataane Se Kya Faayda


Chaar Tinke Jala Ke Kya Mil Gaya,Mit Saka Na Zamane Se Mera Nishaan


Mujhpe Bijli Girao To Jaanu Sahi,Aashiaane Par Girane Se Kya Faayda
Read more... »

Phir wahin khamoshi ka alam hai

Aaj Phir tanhayin hey, Phir wahin khamoshi ka alam hey
Na jaaney kyon aaj teri yaad Phir aayee hey, na jaaney fir kyon merin aankh bhar aayee hey !!


Tumney mujhey hasnaa sikhaayaa .. ronaa bhi tumhi ne sikhaayaa
Kya gila karein hum tumsey ki tumhi ney humein jeenaa shikaayaa!!


Acha seekh gaye jeena hum abh
Ab to Tanhayiyon ke saath kuch baatein bhi ho jaati hein
Mano jesey zindgi ko to nahin, magar tanhayiyon ko jeenaa seekh gaye hein abh
Read more... »

Aaj bhi tanhayin hey kyonkin tum nahin

Aaj bhi tanhayin hey kyonkin tum nahin
Aaj bhi tumhari yaad hey magar aankho mein aassoon nahin!!

Sookh chuki hein yeh ankhey teri yaad mein
Abh to bus is khoon ke sukhney ka intizaar hey !!










Read more... »

Kahan koi mila jispe dil luta dete

Kahan koi mila jispe dil luta dete,

harek ne dhoka diya,


kis kisko bhula dete,


Apna Dard Dil hi mein rakhte hain,


Karte bayan to mehfil ko rula dete.
Read more... »

Tera har sitam har saza hai kabool mujhe

Tera har sitam har saza hai kabool mujhe,
Tera yoon mooh modna nahi kabool mujhe.

Hai gar koi shikayat mujh se tu bata mujhe,
Chup reh kar yoon na sata mujhe.

Teri narazgi ki bata wajah mujhe,
Ho kasoor mera ya nahi de saza mujhe.

Kuch to bol yoon na aansoo baha,
Teri aankhon mein aansoo dekhna gawara nahi mujhe.

Itni khushi dene ke baad bhi hai tu khafa mujhse,
Bas ek bar bata de hui hai kya khata mujhse.

Kaise mein tujhe manaoon,kaise mein tujhe hansaoon,
Khamoshi ko tod tu apni,saza de mujhe,bata de mujhe.

Sharminda hoon apni us khata par jo khud nahi janta,
Bas tu ek bar apni khushi ka pata de mujhe.

Tera har sitam har saza hai kabool mujhe,
Tera yoon mooh modna nahi kabool mujhe.
Read more... »

Berukhi se apni galiyoon se ruksat kar woh

Berukhi se apni galiyoon se ruksat kar woh,izlaam lagaati hai ki humne unka daaman chor diyaa /


Apne dil ko samjhaa jab phir laute hain aaj,unki chaukhat pe to kyun unhone mooh pher liyaa //


Unki us berukhi ko bhi humne unke jalwoon jaise hi seh liya
Phir bhi jaane kiss baat se khafaaa ho unhone dil humara kuchal diya//


Berukhi to apno se hi hoti hai, gairon se kahan berukhi hoti hai /
Mohobbat to ek khaab hai jo bas kitaabon main chippi hoti hai //


Berukhi se mooh mor kar unhone humare isqh ka nazraana de diya /
Kehte the saath hai janam bhar ka, par dauulat dekhte hai daman badal liya //


Berukhi se woh humare aagosh se nikal kissi aur ki baahon main samaa gayi /
Hume intezaar karte reh gaye aur woh naazneen humse door ho gayi.. //

Read more... »